Thursday, January 3, 2013

Lamhe.....


Kese hum kisi apne ki baat itni aasani se samajh lete hai..
ki unki khaamoshiyaan padhna aasan ho jata hai
aisa lagta hai ki ban gaye do jism ek jaan
aur phir saara jahaan ek sa ho jata hai...

Wo jahaan jo kabhi andhero me quaid thaa
wo raaste jinki seema nahi thi koi..
wo manzile jinka koi ata-pata nahi tha...
aur usi mod pe aakar khada ho jata hai koi..

Uski  ek jhalak din ko roshan kar jaaye...
uski mehez aawaz se ruuh ko sukoon aa jae...
uski aankhon me doob jaane ko ji chaahe..
aur sab waadiyaan hasin lagni lag jaaye

Sirf wo aur mai
aur milon tak kuch nahi ho jahaan..
mai usko sunti rahu aur wo mujhe..
aur choti si duniya basaa le hum wahaan

Aisi duniya jahaan nafrat ka naamo-nishaan nai ho..
aisi duniya jahaan sirf pyaar aur apnapan ho..
aise lamhe jo sirf achi yaadein sanjo sake..
wahi ho...aur kuch bhi na ho...